nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya
Interesting Fact
January 1949
nigāh-o-dil kā afsāna qarīb-e-iḳhtitām aayā
hameñ ab is se kyā aa.ī sahar yā vaqt-e-shām aayā
zabān-e-ishq par ik chīḳh ban kar terā naam aayā
ḳhirad kī manzileñ tai ho chukīñ dil kā maqām aayā
uThānā hai jo patthar rakh ke siine par vo gaam aayā
mohabbat meñ tirī tark-e-mohabbat kā maqām aayā
use aañsū na kah ik yād-e-ayyām-e-guzishta hai
mirī umr-e-ravāñ ko umr-e-rafta kā salām aayā
zarā lau aur dil kī tez kar siilā sā ye sho.ala
na raushan kar sakā ghar ko na mahfil hī ke kaam aayā
nizām-e-mai-kada saaqī badalne kī zarūrat hai
hazāroñ haiñ safeñ jin meñ na mai aa.ī na jaam aayā
abhī tak said-e-yazdāñ-o-sanam aulād-e-ādam hai
bashar insāñ nahīñ rahtā jahāñ īmāñ kā naam aayā
bahār aate hī ḳhūñ-rezī huī vo sehn-e-gulshan meñ
ḳhajil kāñTe the yuuñ phūloñ ko josh-e-intiqām aayā
bhulā.e ābla-pāoñ ko baiThe the chaman vaale
garajtī āñdhiyāñ aa.iiñ ki sahrā kā salām aayā
sahar kī huur ke kyā kyā ne dekhe ḳhvāb duniyā ne
magar ta.abīr jab DhūñDī vahī ifrīt-e-shām aayā
kabhī shāyad usī se rañg-e-firdaus-e-bashar paa.e
abhī tak to lahū insāñ kā shaitāñ hī ke kaam aayā
mukammal tabsira kartā huā ayyām-e-rafta par
nigāh-e-be-suḳhan meñ ek ashk-e-be-kalām aayā
tavānā ko bahāna chāhiye shāyad tashaddud kā
phir ik majbūr par shorīdgī kā ittihām aayā
na jaane kitnī sham.eñ gul huiiñ kitne bujhe taare
tab ik ḳhurshed itrātā huā bālā-e-bām aayā
barahman āb-e-gañgā shaiḳh kausar le uḌā is se
tire hoñToñ ko jab chhūtā huā 'mullā' kā jaam aayā
nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya
hamein ab is se kya aai sahar ya waqt-e-sham aaya
zaban-e-ishq par ek chiKH ban kar tera nam aaya
KHirad ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya
uThana hai jo patthar rakh ke sine par wo gam aaya
mohabbat mein teri tark-e-mohabbat ka maqam aaya
use aansu na kah ek yaad-e-ayyam-e-guzishta hai
meri umr-e-rawan ko umr-e-rafta ka salam aaya
zara lau aur dil ki tez kar sila sa ye shoala
na raushan kar saka ghar ko na mahfil hi ke kaam aaya
nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai
hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya
abhi tak said-e-yazdan-o-sanam aulad-e-adam hai
bashar insan nahin rahta jahan iman ka nam aaya
bahaar aate hi KHun-rezi hui wo sehn-e-gulshan mein
KHajil kanTe the yun phulon ko josh-e-intiqam aaya
bhulae aabla-paon ko baiThe the chaman wale
garajti aandhiyan aain ki sahra ka salam aaya
sahar ki hur ke kya kya ne dekhe KHwab duniya ne
magar tabir jab DhunDi wahi ifrit-e-sham aaya
kabhi shayad usi se rang-e-firdaus-e-bashar pae
abhi tak to lahu insan ka shaitan hi ke kaam aaya
mukammal tabsira karta hua ayyam-e-rafta par
nigah-e-be-suKHan mein ek ashk-e-be-kalam aaya
tawana ko bahana chahiye shayad tashaddud ka
phir ek majbur par shoridgi ka ittiham aaya
na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare
tab ek KHurshed itraata hua baala-e-baam aaya
barahman aab-e-ganga shaiKH kausar le uDa is se
tere honTon ko jab chhuta hua 'mulla' ka jam aaya
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 339)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.