nigah par jo paD rahi thi dhul se nikal gae
nigāh par jo paḌ rahī thī dhuul se nikal ga.e
samajh rahe the sab ġhalat ki bhuul se nikal ga.e
ye māhtāb-e-shams hai ye āftāb-e-fikr-o-fan
hijāb-e-jāñ rahā nahīñ qubūl se nikal ga.e
ye 'āshiqī ke falsafe yaqīn-dar-yaqīñ gumāñ
paḌhā nahīñ thā zābta schōl se nikal ga.e
jhukā nahīñ sakā koī sivā ḳhudā ke nāḳhudā
usuul par DaTe rahe usuul se nikal ga.e
malāl-e-jāñ na thā kabhī na hai na ho sakā kabhī
malāl-e-dil kā shukriya malūl se nikal ga.e
kiyā to 'ishq hī kiyā kabhī rakhā na fāsla
so vasl se visāl se vasūl se nikal ga.e
babūl bhī qubūl haiñ qubūl haiñ babūl bhī
magar na jaane kyā huā vo phuul se nikal ga.e
na hasrat-e-talab rahī na qalb meñ ḳhalish koī
hisāb-e-jāñ pe naaz hai husūl se nikal ga.e
nigah par jo paD rahi thi dhul se nikal gae
samajh rahe the sab ghalat ki bhul se nikal gae
ye mahtab-e-shams hai ye aaftab-e-fikr-o-fan
hijab-e-jaan raha nahin qubul se nikal gae
ye 'ashiqi ke falsafe yaqin-dar-yaqin guman
paDha nahin tha zabta school se nikal gae
jhuka nahin saka koi siwa KHuda ke naKHuda
usul par DaTe rahe usul se nikal gae
malal-e-jaan na tha kabhi na hai na ho saka kabhi
malal-e-dil ka shukriya malul se nikal gae
kiya to 'ishq hi kiya kabhi rakha na fasla
so wasl se visal se wasul se nikal gae
babul bhi qubul hain qubul hain babul bhi
magar na jaane kya hua wo phul se nikal gae
na hasrat-e-talab rahi na qalb mein KHalish koi
hisab-e-jaan pe naz hai husul se nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.