nigah yun bhi na Thahre ki dard-e-sar ban jae
nigāh yuuñ bhī na Thahre ki dard-e-sar ban jaa.e
ye sang-e-chashm kisī Dhab se ab guhar ban jaa.e
kamāl-e-kūza-garī hai ki maiñ jise sochūñ
vo naqsh chaak pe aane se peshtar ban jaa.e
jadīd ahd meñ ulTā hai irtiqā kā safar
ajab nahīñ hai phir insān jānvar ban jaa.e
maiñ chāhtā huuñ ki chiknī chaTān par hī chalūñ
ye kyā ba.iid mire baad rahguzar ban jaa.e
bahut nahīf nahīñ hai giraft-e-halqa-e-chashm
nazar uThe to zamāne kī jaan par ban jaa.e
nigah yun bhi na Thahre ki dard-e-sar ban jae
ye sang-e-chashm kisi Dhab se ab guhar ban jae
kamal-e-kuza-gari hai ki main jise sochun
wo naqsh chaak pe aane se peshtar ban jae
jadid ahd mein ulTa hai irtiqa ka safar
ajab nahin hai phir insan jaanwar ban jae
main chahta hun ki chikni chaTan par hi chalun
ye kya baid mere baad rahguzar ban jae
bahut nahif nahin hai giraft-e-halqa-e-chashm
nazar uThe to zamane ki jaan par ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.