nigahen pher kar apni KHudi se
nigāheñ pher kar apnī ḳhudī se
rahe ik umr ḳhud meñ ajnabī se
ta.alluq kyā mirā ġham aur ḳhushī se
shikāyat hī nahīñ ham ko kisī se
qazā ke dar pe dastak dene vaalā
bahut kuchh chāhtā thā zindagī se
visāl-o-hijr kā ehsās kaisā
sabhī ham se mile haiñ ajnabī se
ḳhabar tum ko nahīñ yāroñ ki maiñ ne
liyā hai kaam kitnā be-hisī se
na jaane kis se kahnā chāhtā huuñ
vo bāteñ jo nahīñ kahtā kisī se
hai dil meñ dafn ashkoñ kā samundar
badan ko aag lagtī hai namī se
añdheroñ se nibhānā chāhtā huuñ
vo rishta jo kabhī thā raushnī se
nigahen pher kar apni KHudi se
rahe ek umr KHud mein ajnabi se
talluq kya mera gham aur KHushi se
shikayat hi nahin hum ko kisi se
qaza ke dar pe dastak dene wala
bahut kuchh chahta tha zindagi se
visal-o-hijr ka ehsas kaisa
sabhi hum se mile hain ajnabi se
KHabar tum ko nahin yaron ki main ne
liya hai kaam kitna be-hisi se
na jaane kis se kahna chahta hun
wo baaten jo nahin kahta kisi se
hai dil mein dafn ashkon ka samundar
badan ko aag lagti hai nami se
andheron se nibhana chahta hun
wo rishta jo kabhi tha raushni se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.