nigahen uTh rahi hain meri jaanib ek zamane ki
nigāheñ uTh rahī haiñ merī jānib ik zamāne kī
bharam khul jā.egā koshish na kiije muskurāne kī
zamāne ke sitam un kī jafā merī fidā-kārī
yahī shāyad baneñgī surḳhiyāñ mere fasāne kī
jahāñ se bijliyoñ kā qāfila guzrā hai gulshan meñ
vahīñ buniyād rakh chhoḌī hai maiñ ne āshiyāne kī
ḳhizāñ ke ruḳh pe zahrīlā tabassum maiñ ne dekhā hai
kalī ko mil ga.ī shāyad ijāzat muskurāne kī
mashiyyat kā ye manshā hai maiñ tūfānoñ meñ ubhrūñgā
zamāna laakh kar le sāzisheñ mere miTāne kī
nasīhat karne vaalo shukriya lekin ye batlāo
kahāñ se lā.ūñ himmat un ke dar se lauT aane kī
kabhī majbūri-e-hālāt meñ aisā bhī hotā hai
safīnoñ ko huā kartī hai ḳhvāhish Duub jaane kī
añdheroñ ne 'qamar' kyā kyā merī rāhoñ ko rokā hai
kabhī koshish jo maiñ ne kī koī sham' jalāne ke
nigahen uTh rahi hain meri jaanib ek zamane ki
bharam khul jaega koshish na kije muskurane ki
zamane ke sitam un ki jafa meri fida-kari
yahi shayad banengi surKHiyan mere fasane ki
jahan se bijliyon ka qafila guzra hai gulshan mein
wahin buniyaad rakh chhoDi hai main ne aashiyane ki
KHizan ke ruKH pe zahrila tabassum main ne dekha hai
kali ko mil gai shayad ijazat muskurane ki
mashiyyat ka ye mansha hai main tufanon mein ubhrunga
zamana lakh kar le sazishen mere miTane ki
nasihat karne walo shukriya lekin ye batlao
kahan se laun himmat un ke dar se lauT aane ki
kabhi majburi-e-haalat mein aisa bhi hota hai
safinon ko hua karti hai KHwahish Dub jaane ki
andheron ne 'qamar' kya kya meri rahon ko roka hai
kabhi koshish jo main ne ki koi sham' jalane ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.