nigahon ka tera wo ehtiram rakh dena
nigāhoñ kā tirā vo ehtirām rakh denā
vo ham ko dekh ke hāthoñ se jaam rakh denā
kurednā nahīñ hai zaḳhm ko to phir kyā hai
kisī ke naam pe bachchoñ kā naam rakh denā
kisī ke ishq meñ Duube ho Thiik hai lekin
ye kyā ki chhoḌ ke sab kām-dhām rakh denā
banāne vaale tujhe yaad kyoñ nahīñ aayā
kisī hathelī pe merā bhī naam rakh denā
ye kyā ki jis se chhupāyā thā rāz-e-dil ab tak
usī ke sāmne qissa tamām rakh denā
vo ek shaam jo mil kar kabhī kamā.ī thī
kahīñ chhupā ke vahī narm shaam rakh denā
nigahon ka tera wo ehtiram rakh dena
wo hum ko dekh ke hathon se jam rakh dena
kuredna nahin hai zaKHm ko to phir kya hai
kisi ke nam pe bachchon ka nam rakh dena
kisi ke ishq mein Dube ho Thik hai lekin
ye kya ki chhoD ke sab kaam-dham rakh dena
banane wale tujhe yaad kyon nahin aaya
kisi hatheli pe mera bhi nam rakh dena
ye kya ki jis se chhupaya tha raaz-e-dil ab tak
usi ke samne qissa tamam rakh dena
wo ek sham jo mil kar kabhi kamai thi
kahin chhupa ke wahi narm sham rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.