nigahon ke aage dhuan hi dhuan hai
nigāhoñ ke aage dhuāñ hī dhuāñ hai
haqīqat bhī sach meñ fareb-e-gumāñ hai
bashar kī hayātī meñ rakkhā hī kyā hai
hayāt-e-bashar to ziyāñ hī ziyāñ hai
muqayyad zamāñ meñ har ik aadmī hai
zamāñ hī kī harakat se qaa.em makāñ hai
ḳhayāloñ kī duniyā meñ sur.at hai kitnī
ghaḌī-bhar meñ banda kahāñ thā kahāñ hai
vajūdī shuhūdī mabāhis alag haiñ
ḳhudā kyoñ hai kyā hai alag dāstāñ hai
hai lafzoñ kī duniyā meñ ib.hām-e-ma.anī
mahal shīsh jaisā ye luġhvī jahāñ hai
nigahon ke aage dhuan hi dhuan hai
haqiqat bhi sach mein fareb-e-guman hai
bashar ki hayati mein rakkha hi kya hai
hayat-e-bashar to ziyan hi ziyan hai
muqayyad zaman mein har ek aadmi hai
zaman hi ki harakat se qaem makan hai
KHayalon ki duniya mein surat hai kitni
ghaDi-bhar mein banda kahan tha kahan hai
wajudi shuhudi mabahis alag hain
KHuda kyon hai kya hai alag dastan hai
hai lafzon ki duniya mein ibham-e-mani
mahal shish jaisa ye lughwi jahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.