nigahon ki fusun-kari bahut hai
nigāhoñ kī fusūñ-kārī bahut hai
ye faiz-e-ām phir jaarī bahut hai
ye chāhā thā ki tujh ko bhuul jā.ūñ
magar sūrat tirī pyārī bahut hai
ġham-e-duniyā uThā.e muskurā kar
agarche bojh ye bhārī bahut hai
mujhe vo is tarah kyoñ chhoḌ detā
nasīboñ kī siyah-kārī bahut hai
jafāoñ par jafā.eñ chāhtā huuñ
huzūr apnī vafādārī bahut hai
rulā mat aur 'aḳhtar' hāl-e-dil se
bas ab ye girya-o-zārī bahut hai
nigahon ki fusun-kari bahut hai
ye faiz-e-am phir jari bahut hai
ye chaha tha ki tujh ko bhul jaun
magar surat teri pyari bahut hai
gham-e-duniya uThae muskura kar
agarche bojh ye bhaari bahut hai
mujhe wo is tarah kyon chhoD deta
nasibon ki siyah-kari bahut hai
jafaon par jafaen chahta hun
huzur apni wafadari bahut hai
rula mat aur 'aKHtar' haal-e-dil se
bas ab ye girya-o-zari bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.