nigahon ko nishana chahiye tha
nigāhoñ ko nishāna chāhiye thā
koī pāgal dīvāna chāhiye thā
ye maanā the ḳhafā ham phir bhī lekin
tumheñ nazdīk aanā chāhiye thā
maiñ apne jabr par hairān huuñ ḳhud
mujhe to TuuT jaanā chāhiye thā
mujhe pā kar ravāñ sā ho rahe ho
to kyā tum ko zamāna chāhiye thā
vo qissa shab rakhne kā nahīñ hai
sunā aur bhuul jaanā chāhiye thā
jise gar jānñā ho dard kyā hai
kisī se dil lagānā chāhiye thā
bhulāne kī yahī ik shart bhī thī
mujhe vo shab aanā chāhiye thā
vo jo āgāh kartā phir rahā hai
usī ko āzmānā chāhiye thā
zarā sī baat aur tark-e-ta.alluq
tumheñ to bas bahāna chāhiye thā
nigahon ko nishana chahiye tha
koi pagal diwana chahiye tha
ye mana the KHafa hum phir bhi lekin
tumhein nazdik aana chahiye tha
main apne jabr par hairan hun KHud
mujhe to TuT jaana chahiye tha
mujhe pa kar rawan sa ho rahe ho
to kya tum ko zamana chahiye tha
wo qissa shab rakhne ka nahin hai
suna aur bhul jaana chahiye tha
jise gar jaanna ho dard kya hai
kisi se dil lagana chahiye tha
bhulane ki yahi ek shart bhi thi
mujhe wo shab aana chahiye tha
wo jo aagah karta phir raha hai
usi ko aazmana chahiye tha
zara si baat aur tark-e-talluq
tumhein to bas bahana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.