nigahon ko zaban karna KHamoshi ko bayan karna
nigahon ko zaban karna KHamoshi ko bayan karna
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
nigāhoñ ko zabāñ karnā ḳhamoshī ko bayāñ karnā
ayaañ karnā bhī rāz-e-dil kabhī to yuuñ ayaañ karnā
havā-e-sūd meñ rahnā na parvā-e-ziyāñ karnā
haqīqat meñ hai sāmān-e-nashāt-e-jāvedāñ karnā
kashīda ho ga.e tum jab kashish sābit huī dil kī
samajh kar chāhiye thā jazb-e-dil kā imtihāñ karnā
vafā kā zikr ḳhud karnā ḳhilāf-e-rasm-e-ulfat hai
subuk ho kar na pesh-e-dost bār-e-ġham-garāñ karnā
ba-īñ be-dast-o-pā.ī mil bhī jā.egā to kyā hogā
abas hai fikr-e-manzil meñ talāsh-e-kārvāñ karnā
mujhe terī razā marġhūb thī varna na thā mumkin
jafā-e-dostāñ sahnā sanā-e-dushmanāñ karnā
unheñ zid hai ki haiñ āzurda mujh se be-sabab varna
nahīñ hai jurm kuchh zikr-e-jafā-e-āsmāñ karnā
sar-e-mimbar hai vaa.iz mo'tariz kyoñ but-parastī par
yahāñ lāzim nahīñ mard-e-ḳhudā zikr-e-butāñ karnā
kisī kā raaz itnā qīmtī thā qalb-e-'beḳhud' meñ
ḳhamoshī ko zarūrī ho gayā qufl-e-dahāñ karnā
nigahon ko zaban karna KHamoshi ko bayan karna
ayan karna bhi raaz-e-dil kabhi to yun ayan karna
hawa-e-sud mein rahna na parwa-e-ziyan karna
haqiqat mein hai saman-e-nashat-e-jawedan karna
kashida ho gae tum jab kashish sabit hui dil ki
samajh kar chahiye tha jazb-e-dil ka imtihan karna
wafa ka zikr KHud karna KHilaf-e-rasm-e-ulfat hai
subuk ho kar na pesh-e-dost bar-e-gham-garan karna
ba-in be-dast-o-pai mil bhi jaega to kya hoga
abas hai fikr-e-manzil mein talash-e-karwan karna
mujhe teri raza marghub thi warna na tha mumkin
jafa-e-dostan sahna sana-e-dushmanan karna
unhen zid hai ki hain aazurda mujh se be-sabab warna
nahin hai jurm kuchh zikr-e-jafa-e-asman karna
sar-e-mimbar hai waiz mo'tariz kyon but-parasti par
yahan lazim nahin mard-e-KHuda zikr-e-butan karna
kisi ka raaz itna qimti tha qalb-e-'beKHud' mein
KHamoshi ko zaruri ho gaya qufl-e-dahan karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.