nigahon mein sada gile badan ka zaiqa rakhna
nigāhoñ meñ sadā giile badan kā zā.iqa rakhnā
qayāmat-ḳhez bārish meñ na darvāza khulā rakhnā
thakan vājib hai utnī TūTte lamhoñ ke saa.e meñ
bulandī par bahut mushkil hai apnā martaba rakhnā
havā-e-dasht-e-shorīda shajar ko barahna kar de
tū in bikhre hue pattoñ pe apnā naqsh-e-pā rakhnā
vo mausam jab daraḳhtoñ ko na.ī poshāk mil jaa.e
hamāre vāste aañsū koī khoyā huā rakhnā
havā kī shah pe 'raunaq' kaalī kaalī badliyāñ bhāgīñ
nahūsat hai khulī chhat par bhī ab sūkhā ghaḌā rakhnā
nigahon mein sada gile badan ka zaiqa rakhna
qayamat-KHez barish mein na darwaza khula rakhna
thakan wajib hai utni TuTte lamhon ke sae mein
bulandi par bahut mushkil hai apna martaba rakhna
hawa-e-dasht-e-shorida shajar ko barahna kar de
tu in bikhre hue patton pe apna naqsh-e-pa rakhna
wo mausam jab daraKHton ko nai poshak mil jae
hamare waste aansu koi khoya hua rakhna
hawa ki shah pe 'raunaq' kali kali badliyan bhagin
nahusat hai khuli chhat par bhi ab sukha ghaDa rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.