nigahon par nigahbani bahut hai
nigāhoñ par nigahbānī bahut hai
navāzish zill-e-sub.hānī bahut hai
yahāñ aise hī ham kab baiTh jaate
tire kūche meñ vīrānī bahut hai
abhī qasd-e-safar kā qissa kaisā
abhī rāhoñ meñ āsānī bahut hai
tirī āñkheñ ḳhudā mahfūz rakkhe
tirī āñkhoñ meñ hairānī bahut hai
lab-e-dariyā zabāñ se tar kareñge
abhī talvār meñ paanī bahut hai
mubārak un ko sultānī adab kī
mujhe to us kī darbānī bahut hai
nigahon par nigahbani bahut hai
nawazish zill-e-subhani bahut hai
yahan aise hi hum kab baiTh jate
tere kuche mein virani bahut hai
abhi qasd-e-safar ka qissa kaisa
abhi rahon mein aasani bahut hai
teri aankhen KHuda mahfuz rakkhe
teri aankhon mein hairani bahut hai
lab-e-dariya zaban se tar karenge
abhi talwar mein pani bahut hai
mubarak un ko sultani adab ki
mujhe to us ki darbani bahut hai
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 91)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.