nigahon se nikal kar jo gae hain
nigāhoñ se nikal kar jo ga.e haiñ
vo chehre ā.inoñ meñ kho ga.e haiñ
zamīñ par nuur kī bārish thī jin se
sitāre āsmāñ meñ bo ga.e haiñ
khile the jo chaman meñ gul kī sūrat
sabā ke saath ruḳhsat ho ga.e haiñ
jalāne vaale yādoñ ke diye ab
charāġh-e-jāñ bujhā kar so ga.e haiñ
nigahon se nikal kar jo gae hain
wo chehre aainon mein kho gae hain
zamin par nur ki barish thi jin se
sitare aasman mein bo gae hain
khile the jo chaman mein gul ki surat
saba ke sath ruKHsat ho gae hain
jalane wale yaadon ke diye ab
charagh-e-jaan bujha kar so gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.