nigar-e-dasht mein jo tifl pa-piyaada hai
nigar-e-dasht mein jo tifl pa-piyaada hai
Mukesh Sharma Manmauji
MORE BYMukesh Sharma Manmauji
nigār-e-dasht meñ jo tifl pā-piyāda hai
musavviro vo kisī ghar kā shāhzāda hai
mohabbatoñ meñ ḳhasāra hī istifāda hai
ab apne aap se pūchho ki kyā irāda hai
varaq pe bikhrā hai jo dard she'r kī sūrat
ye reza reza hue ḳhvāb kā burāda hai
bichhaḌ ke tum bhī abhī sogvār ho shāyad
mire bhī lab pe tabassum faqat labāda hai
maiñ mutma.in thā tah-e-dil se dafn kar ke jise
vo kankhiyoñ ke darīchoñ pe be-labāda hai
nigar-e-dasht mein jo tifl pa-piyaada hai
musawwiro wo kisi ghar ka shahzada hai
mohabbaton mein KHasara hi istifada hai
ab apne aap se puchho ki kya irada hai
waraq pe bikhra hai jo dard she'r ki surat
ye reza reza hue KHwab ka burada hai
bichhaD ke tum bhi abhi sogwar ho shayad
mere bhi lab pe tabassum faqat labaada hai
main mutmain tha tah-e-dil se dafn kar ke jise
wo kankhiyon ke darichon pe be-labaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.