nigar-e-subh-e-daraKHshan se lau lagae hue
nigār-e-sub.h-e-daraḳhshāñ se lau lagā.e hue
haiñ apne dosh pe apnī salīb uThā.e hue
guzar rahe haiñ dabe paañv vaqt kī mānind
farāz-e-dār pe apnī nazar jamā.e hue
sila mile na mile ḳhūn-e-dil chhiḌakte chaleñ
har ek ḳhaar hai dast-e-talab baḌhā.e hue
vo ab bhī sāya-e-abr-e-ravāñ ko takte haiñ
jinheñ zamāna huā apnā ghar jalā.e hue
chhalak sakā na kabhī jām-e-chashm-e-tar 'mohsin'
agarche umr huī ham ko gungunā.e hue
nigar-e-subh-e-daraKHshan se lau lagae hue
hain apne dosh pe apni salib uThae hue
guzar rahe hain dabe panw waqt ki manind
faraaz-e-dar pe apni nazar jamae hue
sila mile na mile KHun-e-dil chhiDakte chalen
har ek KHar hai dast-e-talab baDhae hue
wo ab bhi saya-e-abr-e-rawan ko takte hain
jinhen zamana hua apna ghar jalae hue
chhalak saka na kabhi jam-e-chashm-e-tar 'mohsin'
agarche umr hui hum ko gungunae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.