Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigar-KHana-e-bazm-e-jahan ki baat karo

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

nigar-KHana-e-bazm-e-jahan ki baat karo

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar

    nigār-ḳhāna-e-bazm-e-jahāñ baat karo

    sharāb-o-sabza-o-āb-e-ravāñ baat karo

    qafas ke daur meñ ḳhatm āshiyāñ baat karo

    yahīñ guzartī hai ab to yahāñ baat karo

    zamāna sun ke hañsī meñ uḌāne vaalā hai

    kisī se ab na ġham-e-bekarāñ baat karo

    hameñ bahār nahīñ aatī raas ahl-e-chaman

    hamāre sāmne daur-e-ḳhizāñ baat karo

    vo bazm-e-nāz maqām-e-sukūn-e-ḳhātir hai

    to ab na shorish-e-dard-e-nihāñ baat karo

    qafas meñ yād-e-bahār-e-chaman to karte the

    chaman meñ ātish-e-barq-e-tapāñ baat karo

    dilāo yaad na piirī meñ zo.af-e-pīrī ko

    hamāre sāmne azm-e-javāñ baat karo

    mirā ḳhayāl lagātā hai chaar chāñd us ko

    bayān-e-husn meñ husn-e-bayāñ baat karo

    haram bhī dair bhī hai mai-kada bhī hai 'ḳhushtar'

    jo raas aa.e tumheñ us makāñ baat karo

    nigar-KHana-e-bazm-e-jahan ki baat karo

    sharab-o-sabza-o-ab-e-rawan ki baat karo

    qafas ke daur mein KHatm aashiyan ki baat karo

    yahin guzarti hai ab to yahan ki baat karo

    zamana sun ke hansi mein uDane wala hai

    kisi se ab na gham-e-bekaran ki baat karo

    hamein bahaar nahin aati ras ahl-e-chaman

    hamare samne daur-e-KHizan ki baat karo

    wo bazm-e-naz maqam-e-sukun-e-KHatir hai

    to ab na shorish-e-dard-e-nihan ki baat karo

    qafas mein yaad-e-bahaar-e-chaman to karte the

    chaman mein aatish-e-barq-e-tapan ki baat karo

    dilao yaad na piri mein zoaf-e-piri ko

    hamare samne azm-e-jawan ki baat karo

    mera KHayal lagata hai chaar chand us ko

    bayan-e-husn mein husn-e-bayan ki baat karo

    haram bhi dair bhi hai mai-kada bhi hai 'KHushtar'

    jo ras aae tumhein us makan ki baat karo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now