nigar-KHana-e-duniya bhi hai ajib-o-gharib
nigār-ḳhāna-e-duniyā bhī hai 'ajīb-o-ġharīb
ḳhushī kisī kā muqaddar kisī kā ġham hai nasīb
vo ik nazar jo kabhī duur ho kabhī ho qarīb
vahī bigāḌe muqaddar vahī banā.e nasīb
sabhī ko jaanā hai duniyā se farq itnā hai
kisī kī duur hai manzil abhī kisī kī qarīb
kahāñ pahuñch ke tirī yaad ne bhī chhoḌā saath
guzar chukī thī shab-e-hijr jab qarīb qarīb
nazar na aayā zamāne meñ ek bhī aisā
na jis kā koī ho dushman na jis kā koī habīb
tirī nigāh-e-'ināyat kā shukriya lekin
zarā ye dekh ki ab baḌh ga.e haiñ kitne raqīb
na chhoḌā tū ne koī ghar bhī aaj tak ai maut
tirī nazar meñ barābar rahe amiir ġharīb
na us se sāmne aa.e bane na chhup paa.e
'ajīb shaḳhs hai vo bhī na duur hai na qarīb
'ajīb daur hai 'gulshan' 'ajab zamāna hai
har ek kāñdhe pe apne dhare hai apnī salīb
nigar-KHana-e-duniya bhi hai 'ajib-o-gharib
KHushi kisi ka muqaddar kisi ka gham hai nasib
wo ek nazar jo kabhi dur ho kabhi ho qarib
wahi bigaDe muqaddar wahi banae nasib
sabhi ko jaana hai duniya se farq itna hai
kisi ki dur hai manzil abhi kisi ki qarib
kahan pahunch ke teri yaad ne bhi chhoDa sath
guzar chuki thi shab-e-hijr jab qarib qarib
nazar na aaya zamane mein ek bhi aisa
na jis ka koi ho dushman na jis ka koi habib
teri nigah-e-'inayat ka shukriya lekin
zara ye dekh ki ab baDh gae hain kitne raqib
na chhoDa tu ne koi ghar bhi aaj tak ai maut
teri nazar mein barabar rahe amir gharib
na us se samne aae bane na chhup pae
'ajib shaKHs hai wo bhi na dur hai na qarib
'ajib daur hai 'gulshan' 'ajab zamana hai
har ek kandhe pe apne dhare hai apni salib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.