nigah rakh di zaban rakh di mataa-e-qalb-o-jaan rakh di
nigah rakh di zaban rakh di mataa-e-qalb-o-jaan rakh di
Naim Hamid Ali
MORE BYNaim Hamid Ali
nigah rakh dī zabāñ rakh dī matā.a-e-qalb-o-jāñ rakh dī
miTā kar apnī hastī pesh-e-sang-e-āstāñ rakh dī
gumāñ guzrā tire naqsh-e-kaf-e-pā kā jahāñ rakh dī
nahīñ ye hosh ham ko ham ne peshānī kahāñ rakh dī
banāyā aur dil meñ joshish-e-ātish-fashāñ rakh dī
ġhazab kī ek musht-e-ḳhāk zer-e-āsmāñ rakh dī
vo ab apnā kaheñ yā ġhair zarf-e-ahl-e-gulshan hai
hameñ ye faḳhr kyā kam hai binā-e-gulsitāñ rakh dī
mire siine meñ yā-rab ye dil-e-betāb kyā kam thā
jo is meñ ek-tarfa ḳhvāhish-e-dīd-e-butāñ rakh dī
baḌā hī bol-bālā thā magar ham ahl-e-vahshat ne
uḌā kar ek hī Thokar meñ gard-e-āsmāñ rakh dī
huzūr-e-dost kab thī jur.at-e-arz-e-suḳhan dil ko
bayāñ kar ke nigāh-e-shauq ne sab dāstāñ rakh dī
tamāshā.ī banāne ke liye āñkheñ atā kī haiñ
sanā-ḳhvāñ ban ke rahne ke liye muñh meñ zabāñ rakh dī
zabāñ urdu bayāñ dil-jū aur andāz-e-ġhazal ḳhushbū
zamīn-e-sher meñ kaifiyyat-e-bāġh-e-jināñ rakh dī
mubārak ye ġhazal kah kar 'na.īm' apne liye tum ne
jahān-e-sher meñ buniyād-e-qasr-e-jāvedāñ rakh dī
nigah rakh di zaban rakh di mataa-e-qalb-o-jaan rakh di
miTa kar apni hasti pesh-e-sang-e-astan rakh di
guman guzra tere naqsh-e-kaf-e-pa ka jahan rakh di
nahin ye hosh hum ko hum ne peshani kahan rakh di
banaya aur dil mein joshish-e-atish-fashan rakh di
ghazab ki ek musht-e-KHak zer-e-asman rakh di
wo ab apna kahen ya ghair zarf-e-ahl-e-gulshan hai
hamein ye faKHr kya kam hai bina-e-gulsitan rakh di
mere sine mein ya-rab ye dil-e-betab kya kam tha
jo is mein ek-tarfa KHwahish-e-did-e-butan rakh di
baDa hi bol-baala tha magar hum ahl-e-wahshat ne
uDa kar ek hi Thokar mein gard-e-asman rakh di
huzur-e-dost kab thi jurat-e-arz-e-suKHan dil ko
bayan kar ke nigah-e-shauq ne sab dastan rakh di
tamashai banane ke liye aankhen ata ki hain
sana-KHwan ban ke rahne ke liye munh mein zaban rakh di
zaban urdu bayan dil-ju aur andaz-e-ghazal KHushbu
zamin-e-sher mein kaifiyyat-e-bagh-e-jinan rakh di
mubarak ye ghazal kah kar 'naim' apne liye tum ne
jahan-e-sher mein buniyaad-e-qasr-e-jawedan rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.