nigah se chashm se naz-o-ada se
nigah se chashm se nāz-o-adā se
ḳhudā mahfūz rakkhe har balā se
kisī kī bevafā.ī se mujhe kyā
maiñ apne kaam rakhtā huuñ vafā se
bahut māñgīñ duā.eñ haath uThā kar
na niklā kaam kuchh āḳhir duā se
mujhe Dar hai kahīñ rusvā na ho tū
jo maiñ rusvā huā terī balā se
'hasan' detā hai tū kyuuñ jī butoñ par
milā deñge tujhe kyā ye ḳhudā se
nigah se chashm se naz-o-ada se
KHuda mahfuz rakkhe har bala se
kisi ki bewafai se mujhe kya
main apne kaam rakhta hun wafa se
bahut mangin duaen hath uTha kar
na nikla kaam kuchh aaKHir dua se
mujhe Dar hai kahin ruswa na ho tu
jo main ruswa hua teri bala se
'hasan' deta hai tu kyun ji buton par
mila denge tujhe kya ye KHuda se
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.