nihaal-e-husn bahut kam samay ka sathi tha
nihāl-e-husn bahut kam samay kā sāthī thā
magar jo naqsh mire aa.ine kā sāthī thā
bahut ġhurūr se phirtā thā maiñ junūñ-āsār
vo is liye ki tire qāfile kā sāthī thā
mirī talab thī magar sā'at-e-yaqīn talak
vo kam-nigāh bhī do-ātishe kā sāthī thā
ki rang-e-raftagī har vaqt thā nigāhoñ meñ
magar jo shaam ke daurāniye kā sāthī thā
phir ek roz vo gard-e-shafaq meñ duub gayā
jo intizār kisī tāqche kā sāthī thā
magar vo niiñd vo jannat kā pesh-ḳhema niiñd
jahāñ pe har koī ik dūsre kā sāthī thā
usī ne TuuT ke āñkhoñ meñ raushnī bhar dī
jo ik sitāra mire ratjage kā sāthī thā
use to chāhiye vo saath de sahārā de
use ḳhabar hai vo achchhe-bure kā sāthī thā
mire liye mirī bāñheñ qafas banī huī thiiñ
mire liye to añdherā diye kā sāthī thā
ye razm-gāh abābīl khā ga.ī mere
tamām shahr yahāñ abrahe kā sāthī thā
nihaal-e-husn bahut kam samay ka sathi tha
magar jo naqsh mere aaine ka sathi tha
bahut ghurur se phirta tha main junun-asar
wo is liye ki tere qafile ka sathi tha
meri talab thi magar sa'at-e-yaqin talak
wo kam-nigah bhi do-atishe ka sathi tha
ki rang-e-raftagi har waqt tha nigahon mein
magar jo sham ke dauraniye ka sathi tha
phir ek roz wo gard-e-shafaq mein dub gaya
jo intizar kisi taqche ka sathi tha
magar wo nind wo jannat ka pesh-KHema nind
jahan pe har koi ek dusre ka sathi tha
usi ne TuT ke aankhon mein raushni bhar di
jo ek sitara mere ratjage ka sathi tha
use to chahiye wo sath de sahaara de
use KHabar hai wo achchhe-bure ka sathi tha
mere liye meri banhen qafas bani hui thin
mere liye to andhera diye ka sathi tha
ye razm-gah ababil kha gai mere
tamam shahr yahan abrahe ka sathi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.