nihan hai sab se pa har ja dikhai deta hai
nihāñ hai sab se pa har jā dikhā.ī detā hai
chahār-sū tirā jalva dikhā.ī detā hai
ye shaġhl dil kā purānā dikhā.ī detā hai
phir us galī kā irāda dikhā.ī detā hai
matā-e-dard-o-alam ke yahāñ dafīne haiñ
hamāre dil kā ḳharāba dikhā.ī detā hai
ummid-o-bīm kā vo ek isti.āra hai
jo dosh-e-mauj pe tinkā dikhā.ī detā hai
gila bahār ke jaane kā kyā ki rang-e-chaman
ḳhizāñ meñ aur nikhartā dikhā.ī detā hai
atā-e-dīda-e-bīnā bhī ik azaab huā
har ek shaḳhs barahna dikhā.ī detā hai
is anjuman meñ koī āshnā nahīñ lekin
har ek chehra shanāsā dikhā.ī detā hai
harīm-e-qalb meñ aatā hai jab ḳhayāl tirā
koī sahīfa utartā dikhā.ī detā hai
is ahd-e-tīra-ḳhirad se shikāyateñ kaisī
ise to kor bhī biinā dikhā.ī detā hai
ajiib baat hai is izhdihām-e-ḳhalq meñ bhī
jise bhī dekhiye tanhā dikhā.ī detā hai
vahīñ pe hotā hai aksar hujūm-e-tishna-labāñ
jahāñ pe abr barastā dikhā.ī detā hai
ye kaise sail-e-balā meñ ghirī hai kashtī-e-umr
bhañvar sā ruuh meñ paḌtā dikhā.ī detā hai
hazār karb se guzre koī kisī ko kyā
tamāsh-bīñ ko tamāsha dikhā.ī detā hai
gila kareñ bhī to kyā apnī kam-nigāhī kā
nazar na aa.e to kyā kyā dikhā.ī detā hai
ajiib nashsha hai sahbā-e-zindagī meñ 'urūj'
jise bhī dekheñ bahaktā dikhā.ī detā hai
nihan hai sab se pa har ja dikhai deta hai
chahaar-su tera jalwa dikhai deta hai
ye shaghl dil ka purana dikhai deta hai
phir us gali ka irada dikhai deta hai
mata-e-dard-o-alam ke yahan dafine hain
hamare dil ka KHaraba dikhai deta hai
ummid-o-bim ka wo ek istiara hai
jo dosh-e-mauj pe tinka dikhai deta hai
gila bahaar ke jaane ka kya ki rang-e-chaman
KHizan mein aur nikharta dikhai deta hai
ata-e-dida-e-bina bhi ek azab hua
har ek shaKHs barahna dikhai deta hai
is anjuman mein koi aashna nahin lekin
har ek chehra shanasa dikhai deta hai
harim-e-qalb mein aata hai jab KHayal tera
koi sahifa utarta dikhai deta hai
is ahd-e-tira-KHirad se shikayaten kaisi
ise to kor bhi bina dikhai deta hai
ajib baat hai is izhdiham-e-KHalq mein bhi
jise bhi dekhiye tanha dikhai deta hai
wahin pe hota hai aksar hujum-e-tishna-laban
jahan pe abr barasta dikhai deta hai
ye kaise sail-e-bala mein ghiri hai kashti-e-umr
bhanwar sa ruh mein paDta dikhai deta hai
hazar karb se guzre koi kisi ko kya
tamash-bin ko tamasha dikhai deta hai
gila karen bhi to kya apni kam-nigahi ka
nazar na aae to kya kya dikhai deta hai
ajib nashsha hai sahba-e-zindagi mein 'uruj'
jise bhi dekhen bahakta dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.