nihan ho ke bhi main zahir rahunga
nihāñ ho ke bhī maiñ zāhir rahūñgā
tirī har soch kā mehvar rahūñgā
maiñ ab mahsūr kar Dālūñgā ḳhud ko
misāl-e-ḳhāna-e-be-dar rahūñgā
tumhāre saath ab rahnā hai mushkil
maiñ apnī zaat ke andar rahūñgā
bichhaḌ ke bhī raheñge saath donoñ
tū merā maiñ tirā paikar rahūñgā
mujhe be-bāl-o-par gardānñā mat
maiñ tanhā hī sahī lashkar rahūñgā
sitāra ab koī āñgan meñ utre
isī ummīd par ab ghar rahūñgā
zamāna jo bhī chāhe naam de de
maiñ 'safdar' huuñ maiñ bas 'safdar' rahūñgā
nihan ho ke bhi main zahir rahunga
teri har soch ka mehwar rahunga
main ab mahsur kar Dalunga KHud ko
misal-e-KHana-e-be-dar rahunga
tumhaare sath ab rahna hai mushkil
main apni zat ke andar rahunga
bichhaD ke bhi rahenge sath donon
tu mera main tera paikar rahunga
mujhe be-baal-o-par gardanna mat
main tanha hi sahi lashkar rahunga
sitara ab koi aangan mein utre
isi ummid par ab ghar rahunga
zamana jo bhi chahe nam de de
main 'safdar' hun main bas 'safdar' rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.