nihayat inkisari aajizi se baat karte hain
nihāyat inkisārī ājizī se baat karte haiñ
ham un se jab vo ham se be-ruḳhī se baat karte haiñ
hamāre saath ho to muḳhtasar sī baat hotī hai
chalā kartī hai pahroñ jab kisī se baat karte haiñ
hameñ kahte haiñ dekho bha.ī kisī se baat mat karnā
aur us par ḳhud jo miltā hai usī se baat karte haiñ
tumhīñ ho ek jin ko baat karne kā salīqa hai
hamīñ haiñ ek jo be-hūdgī se baat karte haiñ
hue jaate ho kyuuñ kapḌoñ se bāhar ġhair kī san kar
zarā baiTho tasallī dil-jamī se baat karte haiñ
kisī se baat karte haiñ kisī kī baat hotī hai
are baavā tumhārī kab kisī se baat karte haiñ
baḌhā.e dostī kā haath dushman bhī tah-e-dil se
lagā lete haiñ siine se ḳhushī se baat karte haiñ
akele the taraste the kisī se baat karne ko
to ham ne sochā aao 'shād' hī se baat karte haiñ
nihayat inkisari aajizi se baat karte hain
hum un se jab wo hum se be-ruKHi se baat karte hain
hamare sath ho to muKHtasar si baat hoti hai
chala karti hai pahron jab kisi se baat karte hain
hamein kahte hain dekho bhai kisi se baat mat karna
aur us par KHud jo milta hai usi se baat karte hain
tumhin ho ek jin ko baat karne ka saliqa hai
hamin hain ek jo be-hudgi se baat karte hain
hue jate ho kyun kapDon se bahar ghair ki san kar
zara baiTho tasalli dil-jami se baat karte hain
kisi se baat karte hain kisi ki baat hoti hai
are bawa tumhaari kab kisi se baat karte hain
baDhae dosti ka hath dushman bhi tah-e-dil se
laga lete hain sine se KHushi se baat karte hain
akele the taraste the kisi se baat karne ko
to hum ne socha aao 'shad' hi se baat karte hain
- Book : R oodad-e-Watan (Pg. 222)
- Author : Shaad Bilgavi
- Publication : Shaad Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.