nil bahta tha parindon ki qataren thin wahan
niil bahtā thā parindoñ kī qatāreñ thiiñ vahāñ
ḳhvāb sā manzar thā koī ābshāreñ thiiñ vahāñ
ik ajab sī naġhmagī rahtī thī qalb-o-rūh meñ
saañs kī mizrāb aur dhaḌkan kī tāreñ thiiñ vahāñ
ḳhār-o-ḳhas bikhre paḌe haiñ aarzū ke shahr meñ
koī din kā zikr hai raqsāñ bahāreñ thiiñ vahāñ
ab to in āñkhoñ meñ khāre pāniyoñ kā zor hai
aur tum kahte ho pahle ābkāreñ thiiñ vahāñ
ek ik kar ke sabhī va.adoñ ke bandhan kaT ga.e
lafz kyā the ḳhanjaroñ kī tez dhāreñ thiiñ vahāñ
us jagah to aur bhī vīrāñ lagā dil kā nagar
din Dhale ghar lauTtī kūñjoñ kī Dāreñ thiiñ vahāñ
nil bahta tha parindon ki qataren thin wahan
KHwab sa manzar tha koi aabshaaren thin wahan
ek ajab si naghmagi rahti thi qalb-o-ruh mein
sans ki mizrab aur dhaDkan ki taren thin wahan
KHar-o-KHas bikhre paDe hain aarzu ke shahr mein
koi din ka zikr hai raqsan bahaaren thin wahan
ab to in aankhon mein khaare paniyon ka zor hai
aur tum kahte ho pahle aabkaren thin wahan
ek ek kar ke sabhi wadon ke bandhan kaT gae
lafz kya the KHanjaron ki tez dhaaren thin wahan
us jagah to aur bhi viran laga dil ka nagar
din Dhale ghar lauTti kunjon ki Daren thin wahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.