nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain
niilā ambar chāñd sitāre bachchoñ kī jāgīreñ haiñ
apnī duniyā meñ to bas dīvāreñ haiñ zanjīreñ haiñ
rishte haiñ parchhā.īñ jaise ummīdeñ haiñ sarāboñ sī
bantī haiñ miTtī haiñ pal pal ye kaisī tasvīreñ haiñ
baḌh kar haiñ shaitānoñ se bhī insānoñ ke kaam yahāñ
hoñToñ par phūloñ sī bāteñ hāthoñ meñ shamshīreñ haiñ
ye kaisā insāf hai yārab kaisā khel hai qismat kā
kuchh hāthoñ meñ rañg-e-hinā hai kuchh meñ sirf lakīreñ haiñ
'āzim' pyaar kī nagrī se kuchh ḳhvāb churā kar le aao
us nagrī meñ sunte haiñ kuchh rāñjhe haiñ kuchh hīreñ haiñ
nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain
apni duniya mein to bas diwaren hain zanjiren hain
rishte hain parchhain jaise ummiden hain sarabon si
banti hain miTti hain pal pal ye kaisi taswiren hain
baDh kar hain shaitanon se bhi insanon ke kaam yahan
honTon par phulon si baaten hathon mein shamshiren hain
ye kaisa insaf hai yarab kaisa khel hai qismat ka
kuchh hathon mein rang-e-hina hai kuchh mein sirf lakiren hain
'azim' pyar ki nagri se kuchh KHwab chura kar le aao
us nagri mein sunte hain kuchh ranjhe hain kuchh hiren hain
- Book : Aaghaz (Pg. 1)
- Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
- Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998)
- Edition : january 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.