nim jaisa mera lahja aur wo miTha bahut
niim jaisā merā lahja aur vo mīThā bahut
phir bhī us ne dostī ke naam par jhelā bahut
ek sūraj merī chhat par dhuup lene aa gayā
lag rahā hai aaj kā din is liye ujlā bahut
chheḌ detī hai tumhārī yaad koī giit phir
dil meñ jab bhī gūñjne lagtā hai sannāTā bahut
chāñd hai paanī meñ utrā aur maiñ bechain huuñ
haath meñ rassī hai chhoTī aur kuaañ gahrā bahut
nim jaisa mera lahja aur wo miTha bahut
phir bhi us ne dosti ke nam par jhela bahut
ek suraj meri chhat par dhup lene aa gaya
lag raha hai aaj ka din is liye ujla bahut
chheD deti hai tumhaari yaad koi git phir
dil mein jab bhi gunjne lagta hai sannaTa bahut
chand hai pani mein utra aur main bechain hun
hath mein rassi hai chhoTi aur kuan gahra bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.