nim pagal to main hun tum mujhe sara kar do
niim pāgal to maiñ huuñ tum mujhe saarā kar do
aañkh biphrā huā dariyā hai kinārā kar do
ik za.īfa hai ghanā dasht hai ik jhoñpaḌī hai
ek beTe hī ko buḌhiyā kā sahārā kar do
koī tabdīlī na aa.e agar atvār meñ to
saare bachchoñ ko nasīhat hī dobāra kar do
chāñd har haal meñ sargoshī karegā tujh se
chhat se tum us ko agar ek ishāra kar do
maiñ ne tāvīz-e-mohabbat bhī liye dam bhī kiyā
kaash koī to mirī aañkh kā taarā kar do
maiñ ne bhī tāj-mahal ek banā rakkhā hai
aa ke ik baar 'sahar' aap nazāra kar do
nim pagal to main hun tum mujhe sara kar do
aankh biphra hua dariya hai kinara kar do
ek zaifa hai ghana dasht hai ek jhonpaDi hai
ek beTe hi ko buDhiya ka sahaara kar do
koi tabdili na aae agar atwar mein to
sare bachchon ko nasihat hi dobara kar do
chand har haal mein sargoshi karega tujh se
chhat se tum us ko agar ek ishaara kar do
main ne tawiz-e-mohabbat bhi liye dam bhi kiya
kash koi to meri aankh ka tara kar do
main ne bhi taj-mahal ek bana rakkha hai
aa ke ek bar 'sahar' aap nazara kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.