Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind aankhon mein hai kam kam mujhe aawaz na do

Javed Kamal Rampuri

nind aankhon mein hai kam kam mujhe aawaz na do

Javed Kamal Rampuri

MORE BYJaved Kamal Rampuri

    niiñd āñkhoñ meñ hai kam kam mujhe āvāz na do

    jaag jā.egā koī ġham mujhe āvāz na do

    yuuñ bhī raftār-e-dil-e-zār hai maddham maddham

    aur ho jā.egī maddham mujhe āvāz na do

    nīm-ḳhāmosh hai sāz-e-rag-e-jāñ har taar

    taar ho jā.eñge barham mujhe āvāz na do

    ba.ad muddat ke zarā dil ko qarār aayā hai

    jaane kyā dil ho aalam mujhe āvāz na do

    nind aankhon mein hai kam kam mujhe aawaz na do

    jag jaega koi gham mujhe aawaz na do

    yun bhi raftar-e-dil-e-zar hai maddham maddham

    aur ho jaegi maddham mujhe aawaz na do

    nim-KHamosh hai saz-e-rag-e-jaan ka har tar

    tar ho jaenge barham mujhe aawaz na do

    baad muddat ke zara dil ko qarar aaya hai

    jaane kya dil ka ho aalam mujhe aawaz na do

    Source :
    • Book : Awaz Na Do (Pg. 49)
    • Author : Javed Kamal
    • Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now