nind aankhon mein rahe phir bhi na soya jae
niiñd āñkhoñ meñ rahe phir bhī na soyā jaa.e
maiñ vo patthar huuñ ki ro.uuñ to na royā jaa.e
ajnabī hai tire ḳhush-rañg badan kī ḳhushbū
ik zarā lams-e-vafā tujh meñ samoyā jaa.e
shab ke sahrā ne ajab pyaas likhī hai mujh meñ
mujh ko ḳhurshed ke sho.aloñ meñ Duboyā jaa.e
maiñ ne tanhā.ī meñ jal kar bhī yahī chāhā hai
ḳhushbuoñ se tire āñchal ko bhigoyā jaa.e
zindagī ko hai zarūrat na.e pairāhan kī
apne hī ḳhuun meñ apne ko Duboyā jaa.e
nind aankhon mein rahe phir bhi na soya jae
main wo patthar hun ki roun to na roya jae
ajnabi hai tere KHush-rang badan ki KHushbu
ek zara lams-e-wafa tujh mein samoya jae
shab ke sahra ne ajab pyas likhi hai mujh mein
mujh ko KHurshed ke shoalon mein Duboya jae
main ne tanhai mein jal kar bhi yahi chaha hai
KHushbuon se tere aanchal ko bhigoya jae
zindagi ko hai zarurat nae pairahan ki
apne hi KHun mein apne ko Duboya jae
- Book : Shanasai (Pg. 97)
- Author : Jazib Qureshi
- Publication : Panjab Book House, Urdu Bazar, Karachi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.