nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe
niiñd āñkhoñ meñ samo luuñ to siyah raat kaTe
ye zamīñ oḌh ke so luuñ to siyah raat kaTe
qatra-e-ashk bhī lau dete haiñ jugnū kī tarah
do ghaḌī phuuT ke ro luuñ to siyah raat kaTe
rone-dhone se nahīñ ugtā ḳhushī kā sūraj
qahqahe hoñT pe bolūñ to siyah raat kaTe
aañkh nā-dīda manāzir ke tajassus kā hai naam
motiyāñ aañkh meñ rolūñ to siyah raat kaTe
karb-e-tanhā.ī mirī ruuh kā kartī hai siñghār
zahr ehsās kā gholūñ to siyah raat kaTe
nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe
ye zamin oDh ke so lun to siyah raat kaTe
qatra-e-ashk bhi lau dete hain jugnu ki tarah
do ghaDi phuT ke ro lun to siyah raat kaTe
rone-dhone se nahin ugta KHushi ka suraj
qahqahe honT pe bolun to siyah raat kaTe
aankh na-dida manazir ke tajassus ka hai nam
motiyan aankh mein rolun to siyah raat kaTe
karb-e-tanhai meri ruh ka karti hai singhaar
zahr ehsas ka gholun to siyah raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.