nind aankhon se ja chuki kab ki
niiñd āñkhoñ se jā chukī kab kī
raat ye bhed pā chukī kab kī
zindagī tū ne haar jaanā hai
tū hameñ aazmā chukī kab kī
ham purānī Dagar pe qaa.em log
tū na.ī rah banā chukī kab kī
raat ke paas kuchh nahīñ baaqī
ik diyā thā jalā chukī kab kī
jis ko maiñ sher sher likhtā huuñ
merī ġhazleñ bhulā chukī kab kī
ab to bīnā.ī bhī nahīñ baaqī
aañkh motī gañvā chukī kab kī
pakkī saḌkoñ tak aa ga.e 'ā'vān'
gard gaaḌī uḌā chukī kab kī
nind aankhon se ja chuki kab ki
raat ye bhed pa chuki kab ki
zindagi tu ne haar jaana hai
tu hamein aazma chuki kab ki
hum purani Dagar pe qaem log
tu nai rah bana chuki kab ki
raat ke pas kuchh nahin baqi
ek diya tha jala chuki kab ki
jis ko main sher sher likhta hun
meri ghazlen bhula chuki kab ki
ab to binai bhi nahin baqi
aankh moti ganwa chuki kab ki
pakki saDkon tak aa gae 'a'wan'
gard gaDi uDa chuki kab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.