nind aankhon se uDi aur main shab bhar jaga
niiñd āñkhoñ se uḌī aur maiñ shab bhar jaagā
tū na aaya na kabhī merā muqaddar jaagā
be-sabab āñkhoñ meñ tūfāñ nahīñ machlā karte
Thes kuchh dil pe lagī hai ki samundar jaagā
dauḌ kar us ke bahāroñ ne qadam chuum liye
le ke añgḌā.ī jo vo husn kā paikar jaagā
merī har shab isī ummīd meñ kaT jaatī hai
vo abhī aaya abhī merā muqaddar jaagā
phir mire dil kā lahū risne lagā āñkhoñ se
phir sar-e-shām tirī yaad kā nashtar jaagā
zulf chehre se haTī chāñd ghaTā se niklā
chāñdnī phail ga.ī raat kā manzar jaagā
jis pe Thahrī hai nazar us ko diye haiñ jauhar
chhū liyā ham ne jise 'shād' vo patthar jaagā
nind aankhon se uDi aur main shab bhar jaga
tu na aaya na kabhi mera muqaddar jaga
be-sabab aankhon mein tufan nahin machla karte
Thes kuchh dil pe lagi hai ki samundar jaga
dauD kar us ke bahaaron ne qadam chum liye
le ke angDai jo wo husn ka paikar jaga
meri har shab isi ummid mein kaT jati hai
wo abhi aaya abhi mera muqaddar jaga
phir mere dil ka lahu risne laga aankhon se
phir sar-e-sham teri yaad ka nashtar jaga
zulf chehre se haTi chand ghaTa se nikla
chandni phail gai raat ka manzar jaga
jis pe Thahri hai nazar us ko diye hain jauhar
chhu liya hum ne jise 'shad' wo patthar jaga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.