nind hai aur na KHwab aankhon mein
niiñd hai aur na ḳhvāb āñkhoñ meñ
utrā kaisā azaab āñkhoñ meñ
dil meñ vīrāniyāñ basīñ jab se
haiñ khaTakte gulāb āñkhoñ meñ
mere ashkoñ ne umr bhar likkhī
ek ġham kī kitāb āñkhoñ meñ
ḳhuun bhī dekhne se Dartī haiñ
ab nahīñ aur taab āñkhoñ meñ
sah na pāoge jhāñk kar dekho
merā Dhaltā shabāb āñkhoñ meñ
mere saare savāl kā us kī
mil gayā hai javāb āñkhoñ meñ
'sād' dil be-qarār thā jitnā
thā vahī iztirāb āñkhoñ meñ
nind hai aur na KHwab aankhon mein
utra kaisa azab aankhon mein
dil mein viraniyan basin jab se
hain khaTakte gulab aankhon mein
mere ashkon ne umr bhar likkhi
ek gham ki kitab aankhon mein
KHun bhi dekhne se Darti hain
ab nahin aur tab aankhon mein
sah na paoge jhank kar dekho
mera Dhalta shabab aankhon mein
mere sare sawal ka us ki
mil gaya hai jawab aankhon mein
'sad' dil be-qarar tha jitna
tha wahi iztirab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.