nind ka bojh yun palkon pe uThae rakhna
niiñd kā bojh yuuñ palkoñ pe uThā.e rakhnā
rat-jagī aañkh meñ kuchh ḳhvāb sajā.e rakhnā
ishq meñ raat ga.ī baat ga.ī se aage
silsila din ke ujāle meñ banā.e rakhnā
vo bulandī se utāreñge pareshāñ kar ke
tum isī baat pe me.aar banā.e rakhnā
ye alag baat ki āsān nahīñ hai lekin
jhuuT ke daur meñ dastār bachā.e rakhnā
maiñ tire saath rahūñgā ye zamānat merī
tū mohabbat ke charāġhoñ ko jalā.e rakhnā
nind ka bojh yun palkon pe uThae rakhna
rat-jagi aankh mein kuchh KHwab sajae rakhna
ishq mein raat gai baat gai se aage
silsila din ke ujale mein banae rakhna
wo bulandi se utarenge pareshan kar ke
tum isi baat pe mear banae rakhna
ye alag baat ki aasan nahin hai lekin
jhuT ke daur mein dastar bachae rakhna
main tere sath rahunga ye zamanat meri
tu mohabbat ke charaghon ko jalae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.