nind ka ras faza mein gholo ho
niiñd kā ras fazā meñ gholo ho
ai miyāñ kyā zabān bolo ho
mere hālāt par haiñ tanqīdeñ
tum kabhī ḳhud ko bhī TaTolo ho
aah fariyād nāla-o-shevan
aise 'ālam meñ kaise so lo ho
ye batāo ki yaad meñ us kī
tum bhī dāman kabhī bhigo lo ho
ruḳh havā kā jidhar ko hotā hai
kyoñ usī samt tum bhī ho lo ho
ġham kī shiddat hai maut kā sāmāñ
tum ye achchhā karo ho ro lo ho
nind ka ras faza mein gholo ho
ai miyan kya zaban bolo ho
mere haalat par hain tanqiden
tum kabhi KHud ko bhi TaTolo ho
aah fariyaad nala-o-shewan
aise 'alam mein kaise so lo ho
ye batao ki yaad mein us ki
tum bhi daman kabhi bhigo lo ho
ruKH hawa ka jidhar ko hota hai
kyon usi samt tum bhi ho lo ho
gham ki shiddat hai maut ka saman
tum ye achchha karo ho ro lo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.