nind ke aab-e-rawan ko mat dene aaunga
niiñd ke āb-e-ravāñ ko maat dene ā.ūñgā
ai shab-e-nā-ḳhvāb terā saath dene ā.ūñgā
jab sitāre nuqta-e-anfās par bujh jā.eñge
maiñ ḳhudā ko jaan bhī us raat dene ā.ūñgā
nuur kī maujeñ mire hamrāh hoñgī aur maiñ
raat ke hāthoñ meñ apnā haath dene ā.ūñgā
āsmāñ ke niile gumbad se nikal kar ek din
maiñ zamīñ ko qurmuzī ḳhairāt dene ā.ūñgā
band ho jā.eñge jab saare darīche kashf ke
us ghaḌī meñ chand imkānāt dene ā.ūñgā
nind ke aab-e-rawan ko mat dene aaunga
ai shab-e-na-KHwab tera sath dene aaunga
jab sitare nuqta-e-anfas par bujh jaenge
main KHuda ko jaan bhi us raat dene aaunga
nur ki maujen mere hamrah hongi aur main
raat ke hathon mein apna hath dene aaunga
aasman ke nile gumbad se nikal kar ek din
main zamin ko qurmuzi KHairaat dene aaunga
band ho jaenge jab sare dariche kashf ke
us ghaDi mein chand imkanat dene aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.