nind ke bojh se palkon ko jhapakti hui aai
niiñd ke bojh se palkoñ ko jhapaktī huī aa.ī
sub.h jab raat kī galiyoñ meñ bhaTaktī huī aa.ī
dīda-e-ḳhushk meñ ik māhī-e-be-āb thī niiñd
chashma-e-ḳhvāb talak aa.ī phaḌaktī huī aa.ī
aur phir kyā huā kuchh yaad nahīñ hai mujh ko
ek bijlī thī ki siine meñ lapaktī huī aa.ī
aaj kyā phir kisī āvāz ne bai.at māñgī
ye mirī ḳhāmushī jo paañv paTaktī huī aa.ī
raat ghabrā ga.ī sūraj se kahā al-madade
vo ba-sad-nāz jo zulfoñ ko jhaTaktī huī aa.ī
ho ga.ī ḳhair tirā naam na aayā lab par
ek aahaT tirī ḳhushbū meñ mahaktī huī aa.ī
vaqt-e-ruḳhsat mirī āñkhoñ kī tarah chup thī jo yaad
ai mire dil tirī mānind dhaḌaktī huī aa.ī
nind ke bojh se palkon ko jhapakti hui aai
subh jab raat ki galiyon mein bhaTakti hui aai
dida-e-KHushk mein ek mahi-e-be-ab thi nind
chashma-e-KHwab talak aai phaDakti hui aai
aur phir kya hua kuchh yaad nahin hai mujh ko
ek bijli thi ki sine mein lapakti hui aai
aaj kya phir kisi aawaz ne baiat mangi
ye meri KHamushi jo panw paTakti hui aai
raat ghabra gai suraj se kaha al-madade
wo ba-sad-naz jo zulfon ko jhaTakti hui aai
ho gai KHair tera nam na aaya lab par
ek aahaT teri KHushbu mein mahakti hui aai
waqt-e-ruKHsat meri aankhon ki tarah chup thi jo yaad
ai mere dil teri manind dhaDakti hui aai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 36)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.