nind ki goli na khao nind lane ke liye
niiñd kī golī na khaao niiñd laane ke liye
kaun aa.egā bhalā tum ko jagāne ke liye
beTā beTī phone par aksar batāte haiñ mujhe
vaqt miltā hī nahīñ hai gaañv aane ke liye
qabr apnī khod kar ḳhud leT jaao ek din
vaqt kis ke paas hai miTTī uThāne ke liye
vo bhī apne vo bhī apne vo bhī apne the kabhī
vo jo apne the kabhī vo the rulāne ke liye
ab jo apne haiñ na un kā haal ham se pūchhiye
haal bhī vo pūchhte haiñ to satāne ke liye
kis liye dhaḌkan baḌhī hai phir tirī majrūh dil
kyā abhī koī bachā hai āzmāne ke liye
nind ki goli na khao nind lane ke liye
kaun aaega bhala tum ko jagane ke liye
beTa beTi phone par aksar batate hain mujhe
waqt milta hi nahin hai ganw aane ke liye
qabr apni khod kar KHud leT jao ek din
waqt kis ke pas hai miTTi uThane ke liye
wo bhi apne wo bhi apne wo bhi apne the kabhi
wo jo apne the kabhi wo the rulane ke liye
ab jo apne hain na un ka haal hum se puchhiye
haal bhi wo puchhte hain to satane ke liye
kis liye dhaDkan baDhi hai phir teri majruh dil
kya abhi koi bacha hai aazmane ke liye
- Book : Nai Kahkashan (Pg. 120)
- Author : Shivkumar Bilagrami
- Publication : Amrit Prakashan (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.