nind ki goliyan kha ke sota hai wo
niiñd kī goliyāñ khā ke sotā hai vo
rāt-bhar kitnā mad.hosh hotā hai vo
rone vāloñ pe hañsnā thā us kā chalan
aaj kyoñ hañsne vāloñ pe rotā hai vo
apne isyāñ ke dāġhoñ ko shām-o-sahar
ashk-hā-e-nadāmat se dhotā hai vo
vāhimoñ vasvasoñ meñ ulajh kar abas
jaan khotā hai dil ko Dubotā hai vo
merī āfāt meñ apnī har baat meñ
tanz-o-ta.ana ke nashtar chubhotā hai vo
jhuuT bhī us kā ma.alūm hotā hai sach
dāstāñ meñ haqīqat samotā hai vo
kyoñ na paa.e murād apnī mard-e-amal
kisht-e-ummīd meñ azm botā hai vo
mahfiloñ kā tamannā.ī hai aadmī
apne jism-e-javāñ ko sañjotā hai vo
'krishn-mohan' ke azkār kī baat kyā
sher kahtā hai motī pirotā hai vo
nind ki goliyan kha ke sota hai wo
raat-bhar kitna madhosh hota hai wo
rone walon pe hansna tha us ka chalan
aaj kyon hansne walon pe rota hai wo
apne isyan ke daghon ko sham-o-sahar
ashk-ha-e-nadamat se dhota hai wo
wahimon waswason mein ulajh kar abas
jaan khota hai dil ko Dubota hai wo
meri aafat mein apni har baat mein
tanz-o-tana ke nashtar chubhota hai wo
jhuT bhi us ka malum hota hai sach
dastan mein haqiqat samota hai wo
kyon na pae murad apni mard-e-amal
kisht-e-ummid mein azm bota hai wo
mahfilon ka tamannai hai aadmi
apne jism-e-jawan ko sanjota hai wo
'krishn-mohan' ke azkar ki baat kya
sher kahta hai moti pirota hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.