nind mein jaise bachcha hans de
niiñd meñ jaise bachcha hañs de
kaash ki aisā duniyā hañs de
rote rote soyā huuñ par
ḳhvāb meñ koī chehra hañs de
duur nahīñ vo vaqt kī āñdhī
tujh par koī tinkā hañs de
huā jale par namak chhīḌaknā
sahrā par jab dariyā hañs de
tujh ko aatā dekh ḳhushī se
ghar kā āñgan purvā hañs de
kabhī kabhī to tanhā.ī meñ
ḳhāmoshī sannāTā hañs de
ġham kā kyā hai aur mileñge
chhoḌ udāsī achchhā hañs de
nind mein jaise bachcha hans de
kash ki aisa duniya hans de
rote rote soya hun par
KHwab mein koi chehra hans de
dur nahin wo waqt ki aandhi
tujh par koi tinka hans de
hua jale par namak chhiDakna
sahra par jab dariya hans de
tujh ko aata dekh KHushi se
ghar ka aangan purwa hans de
kabhi kabhi to tanhai mein
KHamoshi sannaTa hans de
gham ka kya hai aur milenge
chhoD udasi achchha hans de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.