nind meri hai KHwab logon ke
niiñd merī hai ḳhvāb logoñ ke
haiñ mire sar azaab logoñ ke
muflisī ke khañDar se ai mire dil
chal nikāleñ shabāb logoñ ke
gulsitāñ ko lahū se sīñchūñgī
tab khileñge gulāb logoñ ke
apnī qismat meñ TuuTe taare haiñ
māhtāb āftāb logoñ ke
ik taraf iltifāt hai terā
ik taraf iztirāb logoñ ke
yūñhī pahuñchī nahīñ maiñ daar talak
maiñ ne ulTe naqāb logoñ ke
apnī apnī haiñ dars-gāheñ yahāñ
apne apne nisāb logoñ ke
nind meri hai KHwab logon ke
hain mere sar azab logon ke
muflisi ke khanDar se ai mere dil
chal nikalen shabab logon ke
gulsitan ko lahu se sinchungi
tab khilenge gulab logon ke
apni qismat mein TuTe tare hain
mahtab aaftab logon ke
ek taraf iltifat hai tera
ek taraf iztirab logon ke
yunhi pahunchi nahin main dar talak
main ne ulTe naqab logon ke
apni apni hain dars-gahen yahan
apne apne nisab logon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.