nind na aae sar bhi bhaari ho
niiñd na aa.e sar bhī bhārī ho
aise meñ ḳhaak ḳhvāb kaarī ho
mere āñgan meñ is tarah utro
ghar meñ bas raushnī tumhārī ho
ye mire saath hī javāñ huī hai
kis tarah ḳhatm be-qarārī ho
merī bāteñ bhī koī mānegā
saarī duniyā hī jab tumhārī ho
yuuñ to ham sher bhī nahīñ kahte
tujh ko dekheñ to nazm jaarī ho
mere pahlū meñ barsar-e-paikār
kyā ḳhabar aap kā havārī ho
sab se miltā huuñ muskurā ke 'adan'
vaar khātā huuñ vo jo kaarī ho
nind na aae sar bhi bhaari ho
aise mein KHak KHwab kari ho
mere aangan mein is tarah utro
ghar mein bas raushni tumhaari ho
ye mere sath hi jawan hui hai
kis tarah KHatm be-qarari ho
meri baaten bhi koi manega
sari duniya hi jab tumhaari ho
yun to hum sher bhi nahin kahte
tujh ko dekhen to nazm jari ho
mere pahlu mein barsar-e-paikar
kya KHabar aap ka hawari ho
sab se milta hun muskura ke 'adan'
war khata hun wo jo kari ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.