nind palkon pe yun rakhi si hai
niiñd palkoñ pe yuuñ rakhī sī hai
aañkh jaise abhī lagī sī hai
...apne logoñ kā ek mela hai
apne-pan kī yahāñ kamī sī hai
ḳhūbsūrat hai sirf bāhar se
ye imārat bhī aadmī sī hai
maiñ huuñ ḳhāmosh aur mire aage
terī tasvīr boltī sī hai
chārasāzo mirā ilaaj karo
aaj kuchh dard meñ kamī sī hai
nind palkon pe yun rakhi si hai
aankh jaise abhi lagi si hai
apne logon ka ek mela hai
apne-pan ki yahan kami si hai
KHubsurat hai sirf bahar se
ye imarat bhi aadmi si hai
main hun KHamosh aur mere aage
teri taswir bolti si hai
chaarasazo mera ilaj karo
aaj kuchh dard mein kami si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.