nind qimti hoti hai tu samjha kar
niiñd qīmtī hotī hai tū samjhā kar
rātoñ meñ kab tak jāgegā soyā kar
bol diyā jab us ne haañ to Dar kaisā
haq bantā hai terā lab par bosa kar
Tiis chalī jā.egī pahle dhoke kī
ishq kare jab bhī to pahle jaisā kar
tanhā.ī meñ itnā hañsnā Thiik nahīñ
hijr kā aalam hai to thoḌā royā kar
ġhussa mujh pe aaya hai to mujh se laḌ
ġhusse meñ ghar kī chīzeñ na toḌā kar
zehn hamesha yahāñ-vahāñ bhaTkātā hai
kabhī kabhī to dil kā kahnā maanā kar
nind qimti hoti hai tu samjha kar
raaton mein kab tak jagega soya kar
bol diya jab us ne han to Dar kaisa
haq banta hai tera lab par bosa kar
Tis chali jaegi pahle dhoke ki
ishq kare jab bhi to pahle jaisa kar
tanhai mein itna hansna Thik nahin
hijr ka aalam hai to thoDa roya kar
ghussa mujh pe aaya hai to mujh se laD
ghusse mein ghar ki chizen na toDa kar
zehn hamesha yahan-wahan bhaTkata hai
kabhi kabhi to dil ka kahna mana kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.