nind raaton ki mere yar uDati hai ghazal
nind raaton ki mere yar uDati hai ghazal
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
niiñd rātoñ kī mire yaar uḌātī hai ġhazal
sub.h tak ek ġhazal-go ko jagātī hai ġhazal
log kahte haiñ ġhazal kahnā koī kaam nahīñ
kyā ḳhabar un ko ki kis kaam meñ aatī hai ġhazal
raat jab paas mire koī nahīñ hotā hai
mujh ko siine se lagā kar ke sulātī hai ġhazal
ek misra ki koī sher atā kar ke mujhe
apne chakkar meñ ka.ī roz ghumātī hai ġhazal
Thiik se gar ye likhī jaa.e paḌhī jaa.e yahāñ
ek insān ko insān banātī hai ġhazal
nind raaton ki mere yar uDati hai ghazal
subh tak ek ghazal-go ko jagati hai ghazal
log kahte hain ghazal kahna koi kaam nahin
kya KHabar un ko ki kis kaam mein aati hai ghazal
raat jab pas mere koi nahin hota hai
mujh ko sine se laga kar ke sulati hai ghazal
ek misra ki koi sher ata kar ke mujhe
apne chakkar mein kai roz ghumati hai ghazal
Thik se gar ye likhi jae paDhi jae yahan
ek insan ko insan banati hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.