nind se jagi hui aankhon ko andha kar diya
niiñd se jaagī huī āñkhoñ ko andhā kar diyā
dhund ne shaffāf ā.inoñ ko dhuñdlā kar diyā
joḌtā rahtā huuñ TuuTe rābtoñ kā fāsla
mujh ko lamhoñ ke sarāboñ ne akelā kar diyā
chīḳhtā phirtā hai saḌkoñ par sadāoñ kā hujūm
kis ḳhamoshī ne galī-kūchoñ ko bahrā kar diyā
har sadā Takrā ke behis ḳhāmushī se gir paḌī
har sadā ne ḳhāmushī ko aur gahrā kar diyā
ham ne phir shaffāf rastoñ par bichā.ī aañkh aañkh
ham ne phir ā.īna-e-dil reza reza kar diyā
ham ne pahnā.e haiñ ḳhvāhish ko ragoñ ke pairahan
us ne māñgī buuñd ham ne ḳhuun dariyā kar diyā
shahr kī betāb galiyoñ ne ugal Daale haiñ log
kis ne mere shahr meñ murdoñ ko zinda kar diyā
jam ga.e dīvār-o-dar par gūñjte lafzoñ ke naqsh
ek hañgāme ne saarā shahr gūñgā kar diyā
aañkh meñ dhuñdlā gayā nikhre hue chehroñ kā rang
jagmagāte ā.inoñ ko kis ne mailā kar diyā
ek ik chehre pe 'sarmad' paḌ ga.ī shak kī lakīr
jaane kis bad-rūh ne logoñ pe saaya kar diyā
nind se jagi hui aankhon ko andha kar diya
dhund ne shaffaf aainon ko dhundla kar diya
joDta rahta hun TuTe rabton ka fasla
mujh ko lamhon ke sarabon ne akela kar diya
chiKHta phirta hai saDkon par sadaon ka hujum
kis KHamoshi ne gali-kuchon ko bahra kar diya
har sada Takra ke behis KHamushi se gir paDi
har sada ne KHamushi ko aur gahra kar diya
hum ne phir shaffaf raston par bichai aankh aankh
hum ne phir aaina-e-dil reza reza kar diya
hum ne pahnae hain KHwahish ko ragon ke pairahan
us ne mangi bund hum ne KHun dariya kar diya
shahr ki betab galiyon ne ugal Dale hain log
kis ne mere shahr mein murdon ko zinda kar diya
jam gae diwar-o-dar par gunjte lafzon ke naqsh
ek hangame ne sara shahr gunga kar diya
aankh mein dhundla gaya nikhre hue chehron ka rang
jagmagate aainon ko kis ne maila kar diya
ek ek chehre pe 'sarmad' paD gai shak ki lakir
jaane kis bad-ruh ne logon pe saya kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.