nind se rishta koi joDa nahin
niiñd se rishta koī joḌā nahīñ
ḳhvāb to ham ne kabhī dekhā nahīñ
manzileñ haiñ muntazir jis moḌ par
rāsta us moḌ tak jaatā nahīñ
jhuuT ke lashkar kahāñ Tik paa.e haiñ
aur jo sach hai kabhī martā nahīñ
vaqt ne ik ye sabaq ham ko diyā
sochte haiñ jo kabhī hotā nahīñ
is qadar dil ko hai jis kī aarzū
us ke aage kuchh kahā jaatā nahīñ
jis ghaḌī chhoḌā thā āñgan 'prem' ne
rāsta apno ne bhī rokā nahīñ
nind se rishta koi joDa nahin
KHwab to hum ne kabhi dekha nahin
manzilen hain muntazir jis moD par
rasta us moD tak jata nahin
jhuT ke lashkar kahan Tik pae hain
aur jo sach hai kabhi marta nahin
waqt ne ek ye sabaq hum ko diya
sochte hain jo kabhi hota nahin
is qadar dil ko hai jis ki aarzu
us ke aage kuchh kaha jata nahin
jis ghaDi chhoDa tha aangan 'prem' ne
rasta apno ne bhi roka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.