nind to main kama ke lata hun
niiñd to maiñ kamā ke laatā huuñ
ḳhvāb lekin churā ke laatā huuñ
tum shajar ko zarā dilāsā do
maiñ parinde bulā ke laatā huuñ
aks ke aag meñ utarne tak
aa.ine meñ sajā ke laatā huuñ
le to aatā huuñ dasht āñkhoñ meñ
pāniyoñ ko dikhā ke laatā huuñ
phal kī qismat hai pak ke gir jaanā
aur maiñ Tahnī hilā ke laatā huuñ
mujh ko mujh bin kahīñ nahīñ hai qarār
shahr saarā ghumā ke laatā huuñ
rāsta jugnuoñ kā aadī hai
maiñ diye ko bujhā ke laatā huuñ
aap kyoñ tīrgī se laḌte haiñ
raushnī ko manā ke laatā huuñ
aag laatā huuñ maañg ke lekin
apnā qissa sunā ke laatā huuñ
nind to main kama ke lata hun
KHwab lekin chura ke lata hun
tum shajar ko zara dilasa do
main parinde bula ke lata hun
aks ke aag mein utarne tak
aaine mein saja ke lata hun
le to aata hun dasht aankhon mein
paniyon ko dikha ke lata hun
phal ki qismat hai pak ke gir jaana
aur main Tahni hila ke lata hun
mujh ko mujh bin kahin nahin hai qarar
shahr sara ghuma ke lata hun
rasta jugnuon ka aadi hai
main diye ko bujha ke lata hun
aap kyon tirgi se laDte hain
raushni ko mana ke lata hun
aag lata hun mang ke lekin
apna qissa suna ke lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.