nind TuTi to samundar na jazira dekha
Interesting Fact
Sutoor-Delhi
niiñd TuuTī to samundar na jazīra dekhā
raat bhī maiñ ne vahī ḳhvāb-e-shikasta dekhā
sab pareshān haiñ lamhoñ kī girāñbārī se
maiñ ne har shaḳhs ke māthe pe pasīna dekhā
us ne sahmī huī āñkhoñ pe hathelī rakh lī
jab ḳhas-e-jism se uThtā huā sho.ala dekhā
goshe goshe meñ kisī ḳhauf kī parchhā.īñ thī
ghar kī har chiiz pe aaseb kā saaya dekhā
sab kī peshānī pe hālāt kī tārīkī thī
sab ke hoñToñ pe kaḌe vaqt kā nauha dekhā
koī tahzīb bhī sā.ista-e-malbūs nahīñ
jis ko bhī dekhā sar-e-rāh barahna dekhā
hañs ke milne se tasanño kī chamak chhup na sakī
haa.e vo chehra jo maiñ ne pas-e-chehra dekhā
nind TuTi to samundar na jazira dekha
raat bhi main ne wahi KHwab-e-shikasta dekha
sab pareshan hain lamhon ki giranbari se
main ne har shaKHs ke mathe pe pasina dekha
us ne sahmi hui aankhon pe hatheli rakh li
jab KHas-e-jism se uThta hua shoala dekha
goshe goshe mein kisi KHauf ki parchhain thi
ghar ki har chiz pe aaseb ka saya dekha
sab ki peshani pe haalat ki tariki thi
sab ke honTon pe kaDe waqt ka nauha dekha
koi tahzib bhi saista-e-malbus nahin
jis ko bhi dekha sar-e-rah barahna dekha
hans ke milne se tasanno ki chamak chhup na saki
hae wo chehra jo main ne pas-e-chehra dekha
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 89)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.