nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz
niiñd uḌne kā sabab aur chain khone kā javāz
pūchhte haiñ log mujh se 'ishq hone kā javāz
laḌ rahā huuñ maiñ akelā kār-zār-e-hastī meñ
kar farāham tū bhī zālim apne hone kā javāz
DhūñDte haiñ log kaise harf-e-tund-o-tez se
dūsroñ kī ruuh meñ kāñTe chubhone kā javāz
ye zarūrī to nahīñ ham bhī farāham kar sakeñ
baiThe baiThe apne dāman ko bhigone kā javāz
sāhiloñ par āfiyat mā'dūm ho jaane ke baa'd
aur kyā hogā bhalā kashtī Dubone kā javāz
zabt ke bandhan ko jis ne toḌ Daalā hai 'munīr'
pūchhtā hai dūsroñ se mere rone kā javāz
nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz
puchhte hain log mujh se 'ishq hone ka jawaz
laD raha hun main akela kar-zar-e-hasti mein
kar faraham tu bhi zalim apne hone ka jawaz
DhunDte hain log kaise harf-e-tund-o-tez se
dusron ki ruh mein kanTe chubhone ka jawaz
ye zaruri to nahin hum bhi faraham kar saken
baiThe baiThe apne daman ko bhigone ka jawaz
sahilon par aafiyat ma'dum ho jaane ke ba'd
aur kya hoga bhala kashti Dubone ka jawaz
zabt ke bandhan ko jis ne toD Dala hai 'munir'
puchhta hai dusron se mere rone ka jawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.